Search from this...

Wednesday, August 13, 2014

apne kismat ke sitaro par,

zamane ke isharo par,

udasi hai kinaro par,

yahan sehra ke shehro'n me,

kabhi hairan aankhon me,

kabhi sunsan rasto par,

kabhi bejan lamho par,

tumhari yaad chupke se,

mujhe khamosh karti hain,

yeh palke bheeg jati hain,

aansu girna chahte hain,

hum apni palke jhukate hain,

zara sa muskurate hain,

tumhe hum kitna satate hain,

fir bhi tumhe yaad aaate hain.

Wednesday, November 13, 2013

kitni mushkil se kati meri har raat ...

kitni mushkil se kati meri har raat, mat pooch,
dil se nikli huyi zehno me dabi baat, mat pooch,

wo kis tareh se mujhe har raat yaad aati rahi,
kis tareh maine samhaley apne jazbaat, mat pooch,

waqt bhi badal raha hai, aur wo bhi badal hi gaya,
kya kuch nahi dikhata ye zindagi-e-halat, mat pooch,

wo kisi aur ka ho raha, mujhe khabar hai es baat ki,
kis tareh se usne churaya apna haath, mat pooch,

es tareh pal me mujhe begana kar diya tha usne,
kis tareh apno se khayi maine maat, mat pooch,

ab mujhe pyar nahi hai, wo mera kuch bhi nahi hai,
kaisey saji thi mere dil ki kayenat, mat pooch...

Thursday, October 3, 2013

Khud apne liye baith kar socha kare'ngey ab,

Khud apne liye baith kar socha kare'ngey ab,
Aiesa hai ke tujhko bhula rakhe'ngey ab,

Dhundley se ho gaye hai'n kaii lafz zehan me,
Teri hata kar yadei'n likha karengey ab,

Jaati hai kisi jhiil ki gehrai kahan tak,
Ankhon se tere nikal kar dekha karengey ab,

Batei'n jo teri-apni hum sabko batatey they,
Har baat teri bhool kar baitha karengey ab,

Khushiyon se bhari sham me,dosti ki qalam se,
Aye dost terey waastey likha karengey ab,

Ek daag ki tareh tum mere rooh me ho basey,
Khushbo teri badan se dhoya karengey ab,

Socha tha tere sath,jeena bhi hai marna bhi,
Tanha apne hi Bazm me guzara karengey ab,

Tum dil me bas gaye ho kisi raaz ki surat,
Yaado'n ko teri,dil se nikala karengey ab ...

Wednesday, September 18, 2013

Tera kheyal mai dil se mitaya bhi nahi,

Tera kheyal mai dil se mitaya bhi nahi,
Bedard tujh ko ab tak bhulaya bhi nahi,

Tuney ek Muskaan dikha kar jalaya tha jidhar,
Jali siine me wo charaagh bujhaya bhi nahi,

Behoshi me rehi par khud tujhey hosh aa gaya,
mai badnasiib hosh me ab tak aaya bhi nahi,

Teri yaad me sajdey kiye yeh waqt guzar rahey,
Aur intezar me teri sar ko uthaya bhi nahi,

Aansu chalak kar mujhko satatey hain raat bhar,
Es ehsaas se wakif tujhey karaya bhi nahi,

Mar mitey hum aur yaad bhi tumne na kiya,
Phir kabhi bazm aiesi mai sajaya bhi nahi,

Jaise kiya tha dil ko nisaar apne, teri khatir,
waisa ab shauk zehan me kabhi aur aaya bhi nahi...

Tuesday, September 10, 2013

raat ke pichley pahar jab yaad kisi ki aati hai,

... raat ke pichley pahar jab yaad kisi ki aati hai,
dil ummidon ke jahan me khud ko tanha pata hoon,

dhondta hoon pagalo sa, sarey chaman me uski khushbo,
jab baaton baaton me uska naam labo par lata hoon,

phir yaad ki khushbo, saanso me apne ho jati hai gum,
zabt ki diwaar yaado par apne fir kis liye banata hoon,

le kar chalo aye dosto mujhko zara us desh me,
wasal ka manzar jahan ho mumkin,yahi to mai chahta hoon,

puchta firta hoon har chehrey se bas yahi baar baar,
samne aate hi uska chehra,mai kahan ojhal ho jata hoon,

Ishq me bazmi kabhi aata hai aiesa bhi muqaam,
yaad karun bas,yaad me tadpoon,yaad se dil behlata hoon ...


Thursday, August 22, 2013

aasan tha ya mushqil har kam kar gaya,

aasan tha ya mushqil har kam kar gaya,
bas ek tujhko pane me nakam reh gaya,

chahat me teri aur to kuch bhi na kar sakey,
bas ye hua ke dosto me badnam reh gaya,

dastan e Ishq kisi se ab aur kya kehtey,
jaisey ke ab to marne ka saman kar gaya,

shorat to kisi bazm me sitaro se kam na thi,
khud hi apne shahar me gumnam ban gaya,

unwaan padhne waley esi me ulajh gaye,
mai aiesi ek kahani ka anjaam likh gaya...

Friday, August 2, 2013

tujhse juda ho kar juda hoon kya main,

tujhse juda ho kar juda hoon kya main,
bin terey ab jee raha hoon kya main,
soch tujhey sunayi kyon nahi deta,
teri yaad me ro raha hoon kya main,
andar se hoon udaas par khush rehta hoon,
shayad terey lab ki dua hoon kya main,
ban gaya hoon tere pyar ka aansu,
teri palko par bhi saja hoon kya main,
sham o sehar terey hi kheyal me rehta,
terey dil ke kone me basa hoon kya main,
tu raaton ko mujhe soney hi nahi deta ,
ho gaya tera rat'jagga hoon kya main,
chahe jala dey ya bhujha dey tu,
terey dar ka diya hoon kya main ... ???