Search from this...

Sunday, August 21, 2011

Koi inaam na likho par koi ilzaam hi likh do.

Dil udhaas hai bahut koi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umar na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umar bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koi inaam na likho par koi ilzaam hi likh do.

Monday, August 15, 2011

HAPPY INDEPENDECE DAY


India is the cradle of the human race, the birthplace of human speech, the mother of history, the grandmother of legend, and the great grand mother of tradition. Our most valuable and most astrictive materials in the history of man are treasured up in India only!"

Wednesday, August 10, 2011

KHAWAB LAGTA HAI,....

KISI KA HANTH THA HATHO'N ME MERE,
        KHAWAB LAGTA HAI,

      KOI MERE LIYE TAKTA THA RAHE'N,
        KHAWAB LAGTA HAI,

      KOI SAB KUCH NICHAWAR KARKE MUJHPAR KHUDA SE,
      MANGTA THA SIRF MUJHKO,
        KHAWAB LAGTA HAI,

      MAINE JHOTHA MAGAR WADA TO KIYA THA,
      SUNO YE BHI,
        KHAWAB LAGTA HAI,

 ES BHID ME CHUPKE SE NA JANE KAUN KEHTA HAI,
 "BAZMI" CHALE AAO NAYI MANZILE'N TUMHE AWAAZ DE RAHI'N HAIN,
      UN KHWABON KI DUNIYA SE NIKLO,
      HAQEEQAT ME AAO MAGAR TUM HO KE TUMHE SAB KUCH,
        KHAWAB LAGTA HAI......

NEEND BHI NAHI AATI......

WAHAM DIL KO HOTA HAI,

 RAAT KA GHANA SAAYA,

 FUN UTHAYE NAGIN SA,

 DUS RAHA HAI PATA NAHI KABSE,

 ANGINAT SAWALO'N KA,

 ZAHAR BHAR DIYA HAI JISNE,

 FIKAR HAI RAG RAG ME,

 MAIN RIHA KARUN KAISE,

 KHUD KO I'N SAWALO'N SE,

 DARD JO JAGATE'N HAI,

 CHAIN CHEE'N LETE HAIN,

 BOJH BAN KAR BAITHE HAI

 ZEHAN KE HAR EK KONE ME,

 ITNA SHOR KARTE HAIN,

 KE NEEND BHI NAHI AATI....
                        ...

KABHI KHAMOSH MAIN ...

KABHI KHAMOSH MAIN TO KABHI KHAMOSH TUM HO,
  MAGAR KUCH DINO SE JARI KOI GUFTAGO HO,
 BATEIN DIL KI KYA BATAYE TUM KO,
  JAISI BIKARTI TUT'TI EK ARZOO HO,


 KABHI TANHA NA MIL PAUNGA TUMSE,
  MERE UNDER JO MAUJOOD TUM HO,
 MUJHE YEH LAGTA HAI MERE SAATH TUM HO,
  MERE PARCHAYION ME BHI TUM HI TUM HO,


 ZARA MAIN CHAHTA HOON SUNLO BATEIN TUMHARI,
  NA JAANE KIS KI KARTI TUM GUFTAGO HO,
 MAIN JO NA KEHTA HOON USKA KHEYAL KARNA,
  GAUR NA KARNA JO MERI BATEIN FALTU HO....
                                                                                     ...

JAISA BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA....

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA,
  KHUSHIYO'N KA KHAZANA HOTA THA,

 CHAHAT CHAND KO PANE KI,
  DIL TITLI KA DIWAANA HOTA THA,

 KHABAR NA THI SUBAH KI,
  HAR MAUSAM SUHANA HOTA THA,

 HAR KHEL ME SAATHI HOTE THE,
  HAR RISHTA NIBHANA HOTA THA,

 PAPA KI WO DAATE'N GALTI PAR,
  AMMI KA MANANA HOTA THA,
 GAM KI ZUBAN NA HOTI THI,
  NA ZAKHMO KA PAIMANA HOTA THA,

 RONE KI WAJEH NA HOTI THI,
  NA HASNE KA BAHANA HOTA THA,

 AB NAHI RAHI WAISI ZINDAGI,
  JAISA BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA....
                                   ...

KABHI KISI KO MUQAMMAL....

KABHI KISI KO MUQAMMAL JAHA'N NAHI MILTA,
KAHIN ZAMIN TO KAHIN AASMA'N NAHI MILTA,

JISE DEKHIYE APNE AAP ME HI GUM HAI,
ZUBAN MILTI HAI MAGAR HUM-ZUBA'N NAHI MILTA,

BUJHA SAKA HAI KAUN WAQT KE SHOLO'N KO,
YE WO AAG HAI JISME DHUA'N NAHI HOTA,

TERE JAHAN ME AIESA NAHI KE PYAR NAHI "BAZMI",
JAHAN UMMID HAI BAS WAHAN NAHI'N MILTA.

LAMHE MANZAR PE MANZAR BIKHARNE ......

LAMHE MANZAR PE MANZAR BIKHARNE LAGE HAIN,
 SAAYE DAR AUR DIWAR SE AB UTARNE LAGE HAIN,

     WAQT KI DHOOP KUCH ES TARAH PADI HUMPAR,
     AAP SAMHALE GAYE HUM BIKAHRNE LAGE HAIN,

 SOYE LAMHO NE AAWAZ DI HAI HAMEIN,
 UNKE KUCHE SE JAB GUZARNE LAGE HAIN,

     HAR KADAM PAR JO TUFA'N UDATE RAHE,
     AB WAHI LOG TUMFANO SE DARNE LAGE HAIN,

 AUR BHI UNGLIYAN HUM PAR UTHNE LAGI,
 JABSE AAEINE ME WO SAWARNE LAGE HAIN,

     HAMI PAR AAKHIR BIKHARNE KA ILZAAM KYON ,
     MUDDAT THI KAHAN JO BIKHARNE LAGE HAIN,

          DAIRY KA TOHFA THA PESHE NAZAR,
          IS LIYE SHAYIRI HUM BHI KARNE LAGE HAIN....
                                                                                              ...