Search from this...

Monday, December 19, 2011

Ek din karega sara jahan guman dosti pe apni...

Jab zindagi apni kuch rukne lagi thi,
badhte qadam kuch thakne lage the,
sahara yeh dost ka mila mujh ko,
ke dosti pe apni guman aane laga mujh ko,

kuch chehre jab pyare hone lage the,
kuch haanth chor ke jane lage the,
tere hath ne kuch yun thama mujh ko,
ke dosti pe apni guman aane laga mujh ko,

safar mai jab paya akela maine khud ko,
aasman pe tara koi na tha rahgeer mera,
kuch yun humsafar ban gaye tum mere,
ke dosti pe apni guman aane laga mujh ko,

ab na kisi saathi ki khuwahish hogi,
ke dost tere  jaisa jo mill gaya mujh ko,
kuch yun khili Muskan chehre pe apni,
ke dosti pe apni guman aane laga mujh ko,

ab na anjuman ki fikar hai mujh ko,
na hi raah ki mushkilon ka koi darr hai,
bitaya humne kuch pal sath is tarah,
ke dosti pe apni guman aane laga mujh ko,...

Sunday, August 21, 2011

Koi inaam na likho par koi ilzaam hi likh do.

Dil udhaas hai bahut koi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umar na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umar bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koi inaam na likho par koi ilzaam hi likh do.

Monday, August 15, 2011

HAPPY INDEPENDECE DAY


India is the cradle of the human race, the birthplace of human speech, the mother of history, the grandmother of legend, and the great grand mother of tradition. Our most valuable and most astrictive materials in the history of man are treasured up in India only!"

Wednesday, August 10, 2011

KHAWAB LAGTA HAI,....

KISI KA HANTH THA HATHO'N ME MERE,
        KHAWAB LAGTA HAI,

      KOI MERE LIYE TAKTA THA RAHE'N,
        KHAWAB LAGTA HAI,

      KOI SAB KUCH NICHAWAR KARKE MUJHPAR KHUDA SE,
      MANGTA THA SIRF MUJHKO,
        KHAWAB LAGTA HAI,

      MAINE JHOTHA MAGAR WADA TO KIYA THA,
      SUNO YE BHI,
        KHAWAB LAGTA HAI,

 ES BHID ME CHUPKE SE NA JANE KAUN KEHTA HAI,
 "BAZMI" CHALE AAO NAYI MANZILE'N TUMHE AWAAZ DE RAHI'N HAIN,
      UN KHWABON KI DUNIYA SE NIKLO,
      HAQEEQAT ME AAO MAGAR TUM HO KE TUMHE SAB KUCH,
        KHAWAB LAGTA HAI......

NEEND BHI NAHI AATI......

WAHAM DIL KO HOTA HAI,

 RAAT KA GHANA SAAYA,

 FUN UTHAYE NAGIN SA,

 DUS RAHA HAI PATA NAHI KABSE,

 ANGINAT SAWALO'N KA,

 ZAHAR BHAR DIYA HAI JISNE,

 FIKAR HAI RAG RAG ME,

 MAIN RIHA KARUN KAISE,

 KHUD KO I'N SAWALO'N SE,

 DARD JO JAGATE'N HAI,

 CHAIN CHEE'N LETE HAIN,

 BOJH BAN KAR BAITHE HAI

 ZEHAN KE HAR EK KONE ME,

 ITNA SHOR KARTE HAIN,

 KE NEEND BHI NAHI AATI....
                        ...

KABHI KHAMOSH MAIN ...

KABHI KHAMOSH MAIN TO KABHI KHAMOSH TUM HO,
  MAGAR KUCH DINO SE JARI KOI GUFTAGO HO,
 BATEIN DIL KI KYA BATAYE TUM KO,
  JAISI BIKARTI TUT'TI EK ARZOO HO,


 KABHI TANHA NA MIL PAUNGA TUMSE,
  MERE UNDER JO MAUJOOD TUM HO,
 MUJHE YEH LAGTA HAI MERE SAATH TUM HO,
  MERE PARCHAYION ME BHI TUM HI TUM HO,


 ZARA MAIN CHAHTA HOON SUNLO BATEIN TUMHARI,
  NA JAANE KIS KI KARTI TUM GUFTAGO HO,
 MAIN JO NA KEHTA HOON USKA KHEYAL KARNA,
  GAUR NA KARNA JO MERI BATEIN FALTU HO....
                                                                                     ...

JAISA BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA....

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA,
  KHUSHIYO'N KA KHAZANA HOTA THA,

 CHAHAT CHAND KO PANE KI,
  DIL TITLI KA DIWAANA HOTA THA,

 KHABAR NA THI SUBAH KI,
  HAR MAUSAM SUHANA HOTA THA,

 HAR KHEL ME SAATHI HOTE THE,
  HAR RISHTA NIBHANA HOTA THA,

 PAPA KI WO DAATE'N GALTI PAR,
  AMMI KA MANANA HOTA THA,
 GAM KI ZUBAN NA HOTI THI,
  NA ZAKHMO KA PAIMANA HOTA THA,

 RONE KI WAJEH NA HOTI THI,
  NA HASNE KA BAHANA HOTA THA,

 AB NAHI RAHI WAISI ZINDAGI,
  JAISA BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA....
                                   ...

KABHI KISI KO MUQAMMAL....

KABHI KISI KO MUQAMMAL JAHA'N NAHI MILTA,
KAHIN ZAMIN TO KAHIN AASMA'N NAHI MILTA,

JISE DEKHIYE APNE AAP ME HI GUM HAI,
ZUBAN MILTI HAI MAGAR HUM-ZUBA'N NAHI MILTA,

BUJHA SAKA HAI KAUN WAQT KE SHOLO'N KO,
YE WO AAG HAI JISME DHUA'N NAHI HOTA,

TERE JAHAN ME AIESA NAHI KE PYAR NAHI "BAZMI",
JAHAN UMMID HAI BAS WAHAN NAHI'N MILTA.

LAMHE MANZAR PE MANZAR BIKHARNE ......

LAMHE MANZAR PE MANZAR BIKHARNE LAGE HAIN,
 SAAYE DAR AUR DIWAR SE AB UTARNE LAGE HAIN,

     WAQT KI DHOOP KUCH ES TARAH PADI HUMPAR,
     AAP SAMHALE GAYE HUM BIKAHRNE LAGE HAIN,

 SOYE LAMHO NE AAWAZ DI HAI HAMEIN,
 UNKE KUCHE SE JAB GUZARNE LAGE HAIN,

     HAR KADAM PAR JO TUFA'N UDATE RAHE,
     AB WAHI LOG TUMFANO SE DARNE LAGE HAIN,

 AUR BHI UNGLIYAN HUM PAR UTHNE LAGI,
 JABSE AAEINE ME WO SAWARNE LAGE HAIN,

     HAMI PAR AAKHIR BIKHARNE KA ILZAAM KYON ,
     MUDDAT THI KAHAN JO BIKHARNE LAGE HAIN,

          DAIRY KA TOHFA THA PESHE NAZAR,
          IS LIYE SHAYIRI HUM BHI KARNE LAGE HAIN....
                                                                                              ...

Sunday, July 31, 2011

KOI MERE DIL ME REHTA HAI....



Chupke se mere dil me ehsaas jaga ja,
bhigi hui palko par ek khwab saja ja,
bholi hui yadon ka sahara mujhe dedo,
tanhai ke ehsas ko rangin bana ja.
sunte hain ki ummid pe jee leti hai duniya,
es sach pe yaqin nahi aake bata ja,
ab guzrenge kaise ye din raat hamare,
chupke se mere kan me yeh raaz bata ja.
khwahish na rahi ab mujhe kisi BAZM ki,
halki si MUSKAN mere honto pe saja ja.
dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Jindgi h chhoti har pal me khush raho,
office me khush raho, ghar me khush raho.
 Aaj paneer nahi hai daal me hi khush raho.
Aaj jim jane ka samay nahi hai,
do kadam chal k hi khush raho.
Aaj dosto ka sath nahi tv dekh k hi khush raho.
Ghar ja nhi sakte to phone kr k hi khush rho.
Aaj koi naraz h to uske is andaj me hi khush rho,
 jise dekh nahi sakte uski aawaj me hi khush raho.
Jise pa nahi sakte uski yaad me hi khush raho.
 laptop n mila to kya desktop me hi khush raho.
 Beeta hua kal ja chuka hai uski meethi yaado me hi khush rho.
 Aane wale pal ka pta nahi sapno me hi khush raho.
Haste haste ye pal beet jayege, aaj me hi khush raho.
Jindgi h chhoti har pal me khush raho
Don't say you're not important,
It simply isn't true,
The fact that you were born,
Is proof, God has a plan for you.
The path may seem unclear right now,
But one day you will see,
That all that came before,
Was truly meant to be,
God wrote the book that is Life,
That's all you need to know.
Each day that you are living,
Was written long ago.
God only writes best sellers,
So be proud of who you are,
Your character is important,
In this book, you are the 'Star'…
Have a Fabulous Day!
Don't say you're not important,
It simply isn't true,
The fact that you were born,
Is proof, God has a plan for you.
The path may seem unclear right now,
But one day you will see,
That all that came before,
Was truly meant to be,
God wrote the book that is Life,
That's all you need to know.
Each day that you are living,
Was written long ago.
God only writes best sellers,
So be proud of who you are,
Your character is important,
In this book, you are the 'Star'…
Have a Fabulous Day!
Don't say you're not important,
It simply isn't true,
The fact that you were born,
Is proof, God has a plan for you.
The path may seem unclear right now,
But one day you will see,
That all that came before,
Was truly meant to be,
God wrote the book that is Life,
That's all you need to know.
Each day that you are living,
Was written long ago.
God only writes best sellers,
So be proud of who you are,
Your character is important,
In this book, you are the 'Star'…
Have a Fabulous Day!

MAA KYA HAI...???

MAA KYA HAI...???

Samandar ne kaha MAA wo
hasti hai jo aulad k tamam
Raaz apne sine me chupa leti hai....

Badal ne kaha MAA wo hasti hai
jo dhanak ki tarha khubsurati
k tamam rang mana leti hai...

Duwa ne kaha MAA wo hasti hai
jo Gunah gaar aulad ko bi
Dozakh se bacha leti hai...

Jannat ne kaha MAA wo hasti hai
ke jo mujko bi qadmo ke
neeche daba deti hai...

RAB ne kaha MAA meri taraf se
insan ke liye kimti or nayaab
TOHFA hai...SUBAHANALLAH...

BY DANISH BAZMI

Yahi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard doston ne diya hai, to koi baat nahi
Yahi bahot hai ke dost dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke doston ko
Woh ghar scrap karna chhod de to koi baat nahi
doston hi ne aaina-e-dil mera banaya tha
doston ne hi tod diya hai to koi baat nahi
Kiski mazaal kahe koi bazmi ko deewana
Agar yeh doston ne kaha hai to koi baat nahi...

Thursday, July 21, 2011

Koi inaam na likho par koi ilzaam hi likh do.

Dil udhaas hai bahut koi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umar na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umar bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koi inaam na likho par koi ilzaam hi likh do.

Friday, May 13, 2011

www.comeduinfotech.com

"All our young lives we search for someone to love. Someone who makes us complete. We choose partners & change partners. We dance to a song of heartbreak & hope. All the while wondering if somewhere, somehow, there's someone perfect who might be searchingfor us"

COMEDU INFOTECH PVT.LTD.

http://comeduinfotech.com/design/